Ok, I am a movie buff! I LOVE movies! I’ve been in an eternal love affair with the Screen!
One of the best- and I mean THE BEST- works that I’ve seen in the recent Hindi productions was Aaja Nachle. By far the most under rated film of the decade, I think the movie barely got a fraction of the recognition that it deserved!
Of the entire make, I think the final opera is an amazing piece of film making that I’ve watched over a thousand times over! To anyone who hasn’t seen the movie, PLEASE WATCH! You’re really missing out on something awesome!
However, On my mission of one blog post a day, I thought it would be an awesome idea to put together the lyrics of that awesome opera bit! So here they go!
Once again, I bow my head low to every individual involved in the remotest way in the making of this movie!
Lyrics:
Narrator:
Yeh har nagri ki baat yaar, yeh har koonche ki baat yaar
par kis nagri ki kaunsa kuja theek thaak malum nahi
Jo baat hume maaloom who yeh, keh rehte dono saath saath
who din ho yah ke raat raat,
ab kaunsa din aur kitni raate, theek thaak maaloom nahi..
Jo baat hume malum who yeh, keh Aalim, Faasil, Qaabil jab kehte they usko cheeq cheeq, keh sabaq khudaayi ka padhle, O na muraad le sikh sikh!
Teacher: Ki likhde tu allah!
Narrator: Who likhta tha Laila!
Teacher: Arey main bola Allah!
Narrator: Laila, Laila, Laila!
Teacher: Arey do zakhm mein jaayega tu kya Laila Laila karta hai!
Ek haard maas ki puthli ka, allah se mela karta hai!
Tu haat badaa!
Narrator: tadh tadh
Teacher: abh duja bhi
Narrator: tadh tadh, tadh tadh tadha! tadh tadh tadha! tadh tadh tadha! tadh tadh!
Young Laila: Na maaro, chot lagti hai na maaro. Na maaro, chot lagti hai na maaro.
Chun mun si qaapti hatheli dekho, puchkaaron, chot lagti hai naa maaro
Laila’s Mother: Arey ajab gjab yeh kudrat hai yah sheitaanon ki harqat hai
Ke chote se aur dard use ke khoon behta hai iska sag mein
Yeh khoon ka hai hai saasoon se.
Laila’s Father: Par jaado tonah anhoni, na jaane iske paas usse
Chorus: Inko door door le jaao, inko door door le jaao 4X
Majnu’s Father: Yeh alaapaana ka tona hai, yah bhoot praet ki karni hai?
Arey bhula maulvi baazu pe dhaaga kaala bandhvaao!
Chorus: Inko door door le jaao 4X
Laila’s Mother: Door je jaao…
Song:
Patang sang udd gaya bachpan… jhanak jhanak mann, dagar suhani re…
ladakpan aaya ab to kasak masak, re kya mastaani re…
arre kyun haaye, jawaani ki hoti hai yehi nishaani re…
ke chitvan tirchi tirchi hui jaaye, haan aayi jawaani re..
hoye, jawaani aayi…
saath mein laayi…
pawan ke sang sang…
har ang chale hitchkole leke-
gagan ke rang se, urre hain takreer…
lagee umraahi… chali purvaai…
main hun tera Romeo tu meri hai wahi Juliet…–oho!
arre main Ranjha tera, tu meri hai Heer…
soniye mil ja mele mein, ke iska naam jawaani – aaha!
ke jo na main hun tere sang to phir kis kaam jawaani – oho!
arre wo nahi jaante hoti hai jis kaam jawaani – aaha!
tabhi to hoti hai har baar ye badnaam jawaani – aaha!
sohniye mil ja mele mein… (- ke iska naam jawaani – aaha!)
arre Khurja ke khurchan… arre Mathura ke pede…
rewari Meerut wali, chaat daree baanki laayega – aaha!
arre main hukum karoon to,
door Arab se, poora baagh khajoor laad ke
aangan mein bharpoor, tu mere lagvayegaa…
arre, lagvaaunga, lagvaaunga, lagvaaunga…
Banaras ke ikke mein…
ho Ganga teer chalenge…
barf ki dhoop soonghne..
arre Kashmir chalenge!
arre kaise bhi hon haalaat,
ke tujhko ghuma laaun Baghdad,
ye mera waada jaanam…
arre ye chunri Bikaner,
ke surma, jhumka, mehndi dher,
ye mera waada jaanam…
to phir tu mil ja mele mein, ke iska naam jawaani – aaha!
nahi ye chhotta maslaa, bohat badaa hai kaand jawaani – aaha!
arre ye sarpat sarpat ghori meri jaan jawaani – aaha!
arre ye ghar ki murgi, nahi ye chhutta saand jawaani – aaha!
soniye mil jaa…. (- mele mein, ke iska naam jawaani – aaha!)
(ke jo na main hun tere sang to phir kis kaam jawaani – oho!)/ soniye mil jaa….
soniye mil ja mele mein, ke iska naam jawaani – aaha!
Song:
Is pal main hoon, ya tum bhi ho
ya dono ho ke bhi na hain
kyon ho kya ho, ho bhi ki naa ho
ya kehna sun-na manaa hai
is pal main hoon ya tum bhi ho
ya dono ho ke bhi na hain
Tum bata do yaad koi, ya puraani leke aaun
yaa nishani deke jao, yaa kahani leke jaao
Ya ki mann ko chod do jaye
Yeh jaata, jaata jahan hai
Laila: Main Laila, tu Qaiss. Kahi hai baat khuda nikaloge
Majnu: Haa jaan, ke abhi baat rahegi sadiyon tarah subaani
Song:
Is pal main hoon, ya tum bhi ho
ya dono ho ke bhi na hain
kyon ho kya ho, ho bhi ki naa ho
ya kehna sun-na manaa hai
is pal main hoon

Tabrez: Neech zaat badzaat! Neech zaat badzaat!
yeh tera haat kaatdoonga mein,
oh napaak! tujhe maloom ki tune kisse chuua hai?
Majnu: Woh meri hai
Tabrez: Keede tu harraam
Keede tu harraam ki tera naam zaat har kaam kaat sham shaan ghaat ke naam, agar mein nahi karoon tho
Agar mein nahin karoon tho naam mera Tabrez nahin kuch aur,
yeh meri behen nahi kuch aur, ki ab bas sehen nahi kuch aur!
Majnu: Woh meri hai.
Tabrez: Arey ab bas, arey ab bas.
Karey kuch sharam hayaa ki baat, teri aukaat bataaon tujhko,
tu hai naa mardon ki zaat, bandh kamre ki hai saugand
Ugaade mu seene ko khol, duppatte ko bechaa be mol, ankh mein besharmi ko gol.
Gaair ke badhan ko chuuthi hai saali badsaat! [Slap]
Majnu: Haath ko bheench, ley khud ko kheech
Haath ko bheench, ley khud ko kheench.
Arey math bhool ke naamaqul ki tuney usse chuua hai
Jo hai mera band junoon, meri rug rug mein behtha khoon, arey jo meri dua hai.
Arey jo qudrat (power) ka farmaan, masihaa ka hai jo elaan,
khuda ka dhaan meri har dard dava hai
Ki jiske aansoon hai anmol, ke jiske muscaan kaa na tol,
ki sunle ab Qaiss raha yeh bol, ki woh meri Laila hai
Tabrez: Naam tale uska mein tere hont raakh yeh kardoonga
Majnu: Jis raakh mila Laila ka naam, mein sar aankhon mein bharloonga
Tabrez: Arey tu aise naahi maanega, talwaar nikaal chal!
Laila: Bhai tu mera sakaa hai, abba dilo jaan se pyaare,
ammi jaan mein dil atka hai.
Magar maaloom nahi kya hua bhai ek aurat andhar chillayi ke chuua kisine,
usko chuua kisine
Saare sawaal banke ubaal kafur hue bhai
Woh aurat behti thi ab khadi ho gayi, choti thi ab badi ho gayi,
aur aaj usse ehsaas hua ki woh zehan chadi haraarat hai
Woh ishq naam ke kalam se likhi ek purzor ibaadat hai,
woh raat sharam ki puthli hai, to suraj chade qayamat hai
Woh chodd khuda ke nahi kisike tesh se darr thi hai bhai
Aur jaan sakhe to jaan ki Laila Qaiss pe marthi hai bhai,
yeh Qaiss pe marthi hai bhai, yeh Qaiss pe marthi hai bhai!
Tabrez: Teri jurrat
Laila: Nahi, himmat .
Tabrez: Teri harqat
Laila: Nahin, taaqat
Tabrez: Tu hai hayaa ki puthli bas
Laila: Par naa hoon dayaa ki puthli bas
Tabrez: Mein kabr khod doonga, iski tu khadaa sochle na
Laila: Par laash lagengi do do bhai, zaraa sochle na
Tabrez: Kasam mein khaata hoon ki kissa khatam karoonga aaj,
tere sau tukde karke Majnu mein hazaar jeethade kardoonga! hazaar jeethade kardoonga! hazaar jeethade kardoonga!
Tu kat jaayega neech
Majnu: Rok!
Tabrez: Tu mit jaayega neech
Majnu: Rok!
Tabrez: Yeh tera khoon doon
Majnu: Rok! Rok!
Tabrez: Yeh mujhe chahiye
Majnu: Rok! Rok!
Tabrez: Yeh ghussi meri talwaar, ye tere paar ke bas tu pohonch gaya shamshaan!
Majnu: Ki Laila mujhe maaf kardena, ke mein tujhe yaad karke be bas majboor tha meri jaan [STAB]
Announcer: Majnu hai majnoon,
ke usne kiya kisika khoon ke usko saza milegi! Patthar se mara jaayega yeh kehta hai kaanoon ke jabtak saas chalegi..
Song:
Laila ki saans ki dor bandha woh deewana woh majanu hai
Woh hosh nahi behosh baawara nahi jaanta woh kyon hai
Behosh use rehne do, ki hosh mein woh aayega
To neend mein usaki laila ka, woh khwaab tut jayega
Woh khwaab tut jayega, woh khwaab tut jayega
Koi patthar se na mare, koi patthar se na mare, mere deewane ko, deewane ko
Koi patthar se Koi patthar se na mare, koi patthar se na mare, mere deewane ko, deewane ko
Koi patthar se na mare, koi patthar se na mare, mere deewane ko, deewane ko
Rakhna sambhaal ke yeh patthar, kal ko woh din bhi aayega
Jab patthar honge yeh makaan, inke bhi hogi ek zubaan
Ki dastan-e-laila majanu, shaqs shaqs dohraayega
Patthar ka dher yeh aaj yeh kal ka tajmahal kehlaayega
Nahi mil payega, nahi mil payega, phir waqt tumhein pachhtaane ko
Koi patthar se na mare, koi patthar se na mare, mere deewane ko, deewane ko
Narrator: Arey ab bas, garaj ke Laila boli.
Yeh araj nahi hai garaj garaj ki Laila boli
Theek yehi hai sharth agar, mein nikaah karoongi aaj,
theek yehi hai sharth agar, mein nikaah karoongi aaj,
par majnu ko abba nikal do sheher se bin awaaz
Iss sheher ke saare pathar bhi ab thakke pade hain bechaare,
jo tujhe jaanke maare Majnu mujhe pade hain bechaare
Jawaan bakth ko badan diya, par dhadkan chode jaati hoon
Rakhna sambhal ke Qaiss aaj se zinda bhar kehlati hoon
Par kasam ke tum bin jo bhi mere badhan ko chuune aayega,
haad maas ke badle mein mitti ka tiila paayega
Jab kabr hamaare phool chadhaane khuda zameen pe aayege
Jab khuda zameen pe aayega, jab khuda zameen pe aayega
Laila’s Mother: Choodi, mehendi kaa laep, lagaaye deti hoon,
surk bhavakthi maang, sajaaye deti hoon
Iss doli mein ek sajii laash hai
Dheeme le jaana, mein kahaar ko yeh samjhaaye deti hoon.
Narrator: Jo nahi chadhi kaandhe ka haar ke phir bhi dulhan kehlaayi, Radha Meera ki doli hai ,
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Radha Meera ki doli hai ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
O, na ghaalib Momin ki zubaan na insaani yeh daastaan, upar se aayi boli hai
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Upar se aayi boli hai ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Husband: Mein jawaan bakth yeh mera dakth mere mehlom mein har aurat ho,
ash se rehti hai
Par teri ghazab jawaani hai, tu haram ki meri raani hai,
sona chaandi to paani hai nehladoon tujhko
Ki ab na hota intezaar, mein bolunga bas ek baar,
ki aaja mere aas paas, sehladoon tujhko
Laila: Tu mard badhan yeh sardko chalde isko!
Na jalan na ismein dard naunchle isko!
Ki raakh badaa ke haath udhaade isko!
Yeh mitti ki mitti mein milaade isko!
Ki ismein aag zara bachna kahin tu jal na jaaye,
ki yeh rassi hui jo haaq magar na pal na jaaye.
Husband: Arey mein shauhar hoon tera, na tera yaar na tera chaila hoon
Laila: Mein biwi hoon teri, aur apna Majnu ki mein Laila hoon
Husband: Yeh Majnu kaun hai chaup daar?
Messenger: Woh duur, sheher se rehta hai, woh duur sheher se rehta hai,
bas Laila Laila kehta hai
Pathar ke ghaaon hai khoon bharey, jis mein se bas khoon behtha hai
Husband: Sippe salaar, aaga karo, ab chalne ki taiyaari,
mein dekhoon iske yaar ko sang mein dekhoon inki yaari
Laila: Yaari dekh ke darr jaayega pehle yahaan dekh,
uske khoon se mera badhan ranga tu jahaan dekh
Narrator: Woh khusru ho ya bulle shah har shaqs jalaa hai khamakha,
jisne yeh aag tatoli hai,
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Jisne yeh aag tatoli hai ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Husband: Yaad aaye yeh jawaan bakth ke dekhoon Majnu tu ooncha,
ya tujhse ooncha mera dakth
Majnu: Laila ka maalik ho ke bhi chillaata kyun hai?
Jo ishq nahi aata aashiq kehla ta kyun hai?
Woh khuda ki lii angdaayi hai, woh pyaar ki ek parchaayi hai,
har jang ki jismein khoon bahaa uske aage sharmaayi hai.
Jab paap badhe insaana samjha kya ghatlti ho aayi thi,
arey haqiiqat mein usko ek Laila na mil paayi thii.
Ab mil paaye hain do uske kuch qadar nahi insaan tujhe,
taariq yaad karle na hona padjaaye kurbaan tujhe.
Narrator: Yeh sabhi mitaathe mit jaaye, ya sabhi lutaate lut jaaye,
varna phelaayi jholi hai ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Varna phelaayi jholi hai ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq ishq yeh ishq
Husband: Woh shamshaan hai tera.
Majnu: Woh imaan hai mera.
Husband: Woh quatl-e-aam hai tera.
Majnu: Woh anjaam hai mera.
Husband: Teri boti kat jaayegi.
Majnu: Uske sadh kahin mein jaayegi.
Husband: Tujhe mein kaat baat doon aa.
Majnu: Laila bhi jaayegi saath!
Husband: Usse mein pehre mein rakhoonga,
usse mein pehre mein rakhoonga.
Teri yaad bhatak naa paaye,
kue gehre mein rakhoonga.
Majnu: Itna bhi gehra khod kua woh nahi tujhe milpaayegi.
Mein jahan chodke jaaonga, woh waha chodke aayegi! Le maar!
Husband: Meri kataar!
Majnu: Arey tu maar!
Husband: Sochle tu ek baar!
Majnu: Tu maar!
Husband: Sochle tu ek baar!
Majnu: Tu maar!
Husband: Meri kataar.
Majnu: Tu maar!
Husband: Sochle tu ek baar!
Majnu: Arey tu maar!
Narrator: Brahma gyaan ko maano, ya geeta ke gyaan ko maano,
Bible, Quraan ko maano ya Guru granth mahaan ko maano..
Lekin bina pyaar ke maanoge toh thakjaaoge yaar,
Pyaar ko maano..
Pehle Pyaar bhari, insaani zubaan ko maano…
Note: Apologies for all sorts of typos, grammar errors especially in the urdu bits! It’s a little difficult to listen, recall and type!
19.129138
72.849700
SocialVibe